Friday 26 April 2013

Urdu poetry: Urdu hay mera nam main Khusro ki paheli - Ode to Urdu language in Pakistan

Falling standards of Urudu language used in the media, especially the satellite television channels, in Pakistan makes me think how long this almost five hundred years old language can survive this onslaught. Following poem by Iqbal Ashar is a fitting ode to the fourth most used language in the world:


اردو ہے میرا نام میں “خسرو” کی پہیلی
میں “میر” کی ہمراز ہوں “غالب” کی سہیلی
دکّن کے ولی نے مجھے گودی میں کھلایا
“سودا” کے قصیدوں نے میرا حسن بڑھایا
ہے “میر” کی عظمت کہ مجھے چلنا سکھایا
میں “داغ” کے آنگن میں کھلی بن کے چمیلی
اردو ہے میرا نام میں “خسرو” کی پہیلی
“غالب” نے بلندی کا سفر مجھ کو سکھایا
“حالی” نے مرووت کا سبق یاد دلایا
“اقبال” نے آئینہ حق مجھ کو دکھایا
“مومن” نے سجائی میرے خوابوں کی حویلی
اردو ہے میرا نام میں “خسرو” کی پہیلی
ہے “ذوق” کی عظمت کہ دیئے مجھ کو سہارے
“چکبست” کی الفت نے میرے خواب سنوارے
“فانی” نے سجاۓ میری پلکوں پہ ستارے
“اکبر” نے رچائی میری بے رنگ ہتھیلی
اردو ہے میرا نام میں “خسرو” کی پہیلی
کیوں مجھ کو بناتے ہو تعصب کا نشانہ
دیکھا تھا کبھی میں نے بھی خوشیوں کا زمانہ
اپنے ہی وطن میں میں ہوں مگر آج اکیلی
اردو ہے میرا نام میں “خسرو” کی پہیلی



Transliterated in English 



Urdu hai mera naam main Khusro ki paheli
Main Meer ki humraaz hoon Ghalib ki saheli

Dakkan ke Wali ne mujhe godhi me khilaya
Sauda ke qaseedon ne mera husn barrahaya
Hai Meer ki azmat ke mujhe chalna seekhaya
Main Daagh ke aangan me khili ban ke chameli

Urdu hai mera naam main Khusro ki paheli
Main Meer ki humraaz hoon Ghalib ki saheli

Ghalib ne bulandi ka safar mujhko sikhaya
Haali ne muravvat ka sabak yaad dilaya
Iqbal ne aaina_e_haq mujhko dikhaya
Momin ne sajayee mere khwabon ki haveli

Urdu hai mera naam main Khusro ki paheli
Main Meer ki humraaz hoon Ghalib ki saheli

Hai Zauk ki azmat ke diye mujhko sahare
Chakbast ki ulfat ne mere khwab saware
Fani ne sajaye meri palko pe sitare
Akbar ne rachayee meri berang hatheli

Urdu hai mera naam main Khusro ki paheli
Main Meer ki humraaz hoon Ghalib ki saheli

Kyoon mujhko banate ho ta'assub ka nishana
Mainay to kabhi khud ko musalmaan nahi mana
Dekha tha kabhi mainay bhi khushiyon ka zamana
Apne hi watan me hoon magar aaj akayli

Urdu hai mera naam main Khusro ki paheli
Main Meer ki Humraaz hoon Ghalib ki saheli